Hei To Nazar Aane De
Hei To Nazar Aane De, Ye Dhoop Chhaon Ki Baatein, Phir Kabhi. Aaj Dhundhalke Mei, Samay Ko Wahan Se Tu, Yahan Se Mein Pakadta Hun,…
Thodi Der Thehar
Thodi Der Thehar, In Bahon Mei Ho Shab, Ho Seher, Sabz Se Pareshaan, Tu Akeli Nahin, Mein Bhi Hun.
Yun Haath Chhuda Kar Kahan
Yun Haath Chhuda Kar Kahan Tak Sambhalna Hei, Tu Saksham Hei, Kahan Tak Akele Chalna Hei, Tu Kasht Mei Rahe Aur Vyaakul Mein Bandha Rahun,…
Ae Zindagi Teri Sansein
Ae Zindagi Teri Sansein La Bandh Kardoon Ya Chand Kardoon, Teri Udaano Se Mere Honsle Bhi Sharminda Hei.
Ruee Ke Faahe Hei
Ruee Ke Faahe Hei, Duaa Lage Yaa Gum.
Usse Dard Na Doon
Usse Dard Na Doon, Isse Maayus Na Karun, Yahi Soch Ke, Mein Baithataa Gaya.
Ek Dusre Se Lipti
Ek Dusre Se Lipti Iss Fuhaar Mei, Thodi Der Thehar, Ye Bechainiyan, Ye Ghutan, Tujhmei Bhi Hei, Mujhmei Bhi.
Ye Kahan Aa Gaye
Ye Kahan Aa Gaye Maikhane Ki Talaash Mei, Na Jaam, Na Bottle, Na Koi Shaam Lagti Hei.
Wo Mana Karne Pe
Wo Mana Karne Pe Maan Jata Hei, Bas Pankh Fadfadaa Ke, Reh Jata Hei.
Lamha Dar Lamha
Lamha Dar Lamha Tarastaa Hei, Nazar-bhar Dekhne Ko, Chehera Hei Ke Dikhta Hi Nahin, Beete Huye Lamhei Ki Tarah.
Bahut Bezaar Hei Dil
Bahut Bezaar Hei Dil, Waqt Se Minnatein Kar Lein, Uska Chehera De Dikha, Lamhon Ki Jannatein Kar Lein.
Maayus Seher Uthati Hei
Maayus Seher Uthati Hei, Roz Thaki Huyi Chaadar Se, Koi To Keh De Unhe, Khwaab Mei Hi Sula Jao.
Aaj Subha Khwaab Bhi
Aaj Subha Khwaab Bhi The, Neend Bhi Suhaani Rahi, Kal Chandani Roshan-Daan Se, Jhaankh Kar Jo Gayi.
Teri Khushbu Mein Bheega
Teri Khushbu Mei Bheega, Labrez Hun Aaj, Kal Raat Khwaab Teri Aagosh Ka Tha.
Vichhoh Ki Koi #BahutSaraTu #4
Vichhoh Ki Koi Khalish Ya Zabta Rahi Justaju, Ya Dasht-O-Khyaal Jise Yun Hi Bahut Sochta Hun.
Kuch Pal Mei Kuch #BahutSaraTu #3
Kuch Pal Mei Kuch Pal Kuch Aise Khil Jaate Hein, Nahin Bichadta Phir Wo Jise Kho Ke Milta Hun.
Bechain Umas Bhare #BahutSaraTu #2
Bechain Umas Bhare Baadlon Sa Bhatakna Mera, Tere Pehelu Mei Aate Hi Baarish Sa Barasata Hun.
Asaan Nahi Yun #BahutSaraTu #1
Asaan Nahin Yun Chalna, Dariya Ke Do Chhor Sa, Kehene Ko Juda Sahi, Mano To Saath Chalta Hun.
Har Pal Mein #BohutSaraTu #0
Har Pal Mei Bahut Sara Tu, Thoda Sa Mein Basta Hun, Tu Saath Nahin Phir Bhi, Teri Parchaiyon Sa Dikhta Hun
Visaal-E-Aarzu Ka Bhi
Visaal-E-Aarzu Ka Bhi, Sukoon Hei Bas Itna, Mousam Saa Nahi Badalta, Jab Bhi Rawan Hota Hei.
Kuch Der Ko Hi Sahi
Kuch Der Ko Hi Sahi, Wo Aawaaz Lagaye, To Kuch Aaraam Ho, Aag Lagi Hei Basti Mei, Boondein Hi Baras Jaaye, To Kuch Aaraam…
Jab Bhi Wo Mere Kareeb
Jab Bhi Wo Mere Kareeb Hota Hei, Sajdon Mei Mera Naseeb Hota Hei, Vasla-E-Yaar, Ho Hijra Ko Aaram, Zafaa, Ke Har Shaksh, Rakeeb Hota…
Tera Hokar Bhi Na Hona
Tera Hokar Bhi Na Hona, Besabab Bahut Chubhta Hei, Yaad Ke Phoolon Pe Waqt, Jab Bhi Tanhaa Utarta Hei.
Koi To Samjhaye, Ye Maazara
Koi To Samjhaye Ye Maazara Kya Hei, Na Chalna Tha Un Raahon Par, To Ye Raasta Kya Hei, Manzar To Sahi Hei, Pasemanzar Kuch…
Gehere Paani Mei Jun Dum GhutTa
Gehere Paani Mei Jun Dum GhutTa Ho, Kabhi Na Koi Itna Tanhaa Ho, Masoom Hansi Aur Puraani Mohabbat, Baad-E-Muddat Mile, Aur Na Juda Ho.
I Could Not Tell You – The First Moment
I Could Not Tell You, If I Loved You, The First Moment, I Saw You, Or If It Was The Second, Or Third Or Fourth,…
Kuch Darr Hei, Kuch Dard Hei
Kuch Darr Hei, Kuch Dard Hei, Kahin Khamoshi, Kahin Harfh Hei, Mousam Tera Bhi, Mujhsa Hi Sard Hei. Ahsaas Bhi Hei, Pyaas Bhi…
Wafa To Badastoor Na Thi Kabhi
Wafa To Badastoor Na Thi Kabhi, Mann Ki Huyi To Begunaah Ho Gayi.
Teri Uns Se Bandha Hun
Teri Uns Se Bandha Hun Tab Tak Tera, Vairagi Huaa, To Kya Tera, Kya Mera.
Bahut Tarsi Hogi Koi Chahat
Bahut Tarsi Hogi Koi Chahat Barson Ki, Shab-E-Alam Kya Guzari, Shabnam Ho Gayi.
Teri Chuppi Tute To Kuch
Teri Chuppi Tute To Kuch Meri Bhi Guzar Ho, Baithe Hei Shab Bhar Kinare, Ab To Sehar Ho, Waqt Samjhu Hei Rafta Rafta Nikal…
Mehfil Saji Hei Aur Dil Tanhaa
Mehfil Saji Hei Aur Dil Tanha Sa Basar Karta Hei, Tere Bagair Lamha Dar Lamha Bas Safar Karta Hei.
Baad-E-Muddat Duaaon Se Mile
Baad-E-Muddat Duaaon Se Mile Ho, Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana, Abhi To Doraahe Pe Humraah Bane Ho, Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana; Ye Din…
Yun To Ishq Ke Sajde
Yun To Ishq Ke Sajde Saath Saath Hote Hei, Magar Kuch Ibadatein Tanhaa Bhi Honi Hei.
Kal Kuch Sapne Jal Gaye
Kal Kuch Sapne Jal Gaye, Ankhon Mei Wahi Tar Gaye, Wo Raakh Ko Udh Jaane De, Jo Rang Ko Syaah Kar Gaye.
Kuch Bikhra Hei, Kuch
Kuch Bikhra Hei, Kuch Simat Jaayega, Inhi Falsafon Mein Nikhar Aayega, Sanson Ko Mayassar Hei Justaju Jab Tak, Tu Usmein, Wo Tujhmein, Guzar Jaayega.
Kahan Hei Wo Badali
Kahan Hei Wo Badali, Jo Barasne Ko Taiyaar Thi, Kahan Hei Wo Boondein, Jo Subha Ki Fuhaar Thi, Na Sukhe Rahe, Na Bheege, Naahak…
Yun To Aksar Sambhal Kar
Yun To Aksar Sambhal Kar Zaahir Hota Hun, Rooh Na Chhuye, To Khamosh Hi Reheta Hun, Jaane Kab Mere Saaye, Kisi Se Syaah Nikle.
Tere Saath Ke Sab Guzar Gaye
Tere Saath Ke Sab Guzar Gaye, Soona Sa Kaarwan Hei, Teri Meethi Hansi Ke Peeche, Kadwe Ghoonth Baarahaa Hei, Taron Mei Timtimati Hei Kahan,…
Mukammal Hei Kayi Jahan Mujhmein
Mukammal Hei Kayi Jahan Mujhmein, Zamane Mukammal Nahin, To Kya, Zami Hei, Aasmaa Hei, Falak Bhi Nishaan Hei, Ek Tu Haansil Nahin, To Kya;…
Jo Aaya Hei Khwabon Mei
Jo Aaya Hei Khwabon Mei, Basar Hone Do, Kahan Nikalti Hei Rahein, Safar Hone Do, Ilm Hei, Haya Hei, Fikra Hei, Kaise Kahein, Jaagti…
Khwabon Mein Mere Tujhse Ye Puchun
Khwabon Mei Mere Tujhse Ye Puchun, Mujshko Tu Dhundhe, Kya, Jaise Mei Dhundhun, Hothon Mei Dabi, Keh Bhi De Kabhi, Barson Ki Bechainiyan Lein…
Har Sawaal Mujhse
Har Sawaal Mujhse, To Jawabdari Kya Hogi, Har Raah Teri, To Raah Hamari Kya Hogi, Utarna Hei Ya Leheron Ko Hi Dekh Lein, Dubenge Nahin…
Barson Se Iss Raah Pe
Barson Se Iss Raah Pe Khada Hun, Kise Khabar Ke Mei Kahan Hun, Do-Chaar Kadam Jab Raah Honge, To Sochenge, Abhi To Shab Hei, Khwaab-E-Ruwan…
Dil Ke Andhere Bhi
Dil Ke Andhere Bhi Kamaal Hei, Diye Bhujhte Nahin, Badal Jaate Hei.
Mere Hone Se Teri Haar
Mere Hone Se Teri Haar, Na Hone Se Bhi To Zakhm Rahenge, Jiyenge Badastur Apne Karam, Sahi Hei Tu, Galat Hum Hee Rahenge.
Kisko Kya Samajh Baithe Hum
Kisko Kya Samajh Baithe Hum, Jo Sajde Ke Kaabil Tha, Thokar Laga Baithe Hum.
Kuch Hi Panno Ki Zindagi Hei
Kuch Hi Panno Ki Zindagi Hei, Ab Rutha Na Karo Harfon Pe, Manaane Mei Hi Kharch Denge, To Jiyenge Kab…
Tu Meri Duaon Mein Shaamil Hei
Tu Meri Duaon Mein Shaamil Hei, Mujhe Apni Duaon Mei Rakhna, Sanson Ki Mahek Uss Rab Pe, Ruh Ko Panahon Mei Rakhna.
Iss Haq-E-Nazaqat Se
Iss Haq-E-Nazaqat Se, Nibhayi Thi Usne Muhabbat, Ki Bewafayi Pe Aaj Talak, Khud Pe Hee Shubaa Hota Hei.