Hei To Nazar Aane De

Hei To Nazar Aane De

Hei To Nazar Aane De,
Ye Dhoop Chhaon Ki Baatein,
Phir Kabhi.
Aaj Dhundhalke Mei,
Samay Ko Wahan Se Tu,
Yahan Se Mein Pakadta Hun,
Thehar jaate Hei,
Thodi Khushbu Mei, Thode Jaadu Mein,
Thoda Chhup Si Baton Mei,
Kuch Aankhon Mei, Kuch Chhehere Pe,
Kuch Hathon Mei, Kuch Pal Yunhin,
Ek Dusre Mei Jee Jaate Hei,
Hei To Nazar Aane De…

Yun Haath Chhuda Kar Kahan

Yun Haath Chhuda Kar Kahan Tak Sambhalna Hei,
Tu Saksham Hei, Kahan Tak Akele Chalna Hei,
Tu Kasht Mei Rahe Aur Vyaakul Mein Bandha Rahun,
Thor Nahin, Pyaase Ka Bas Paani Banna Hei.

Kuch Der Ko Hi Sahi

 

Kuch Der Ko Hi Sahi, Wo Aawaaz Lagaye,
To Kuch Aaraam Ho,
Aag Lagi Hei Basti Mei, Boondein Hi Baras Jaaye,
To Kuch Aaraam Ho,
Yun To Tere Har Mousam Se Waakef Hun,
Phir Bhi, E Zindagi,
Naye Chand Ki Baraat Mei, Mera Chand Bhi Aaye,
To Kuch Aaram Ho.

 

Koi To Samjhaye, Ye Maazara

 

Koi To Samjhaye Ye Maazara Kya Hei,

Na Chalna Tha Un Raahon Par, To Ye Raasta Kya Hei,

Manzar To Sahi Hei, Pasemanzar Kuch Nahin,

Do Dil Hei, Khuloos Hei, Aur Aasra Kya Hei.