Skip to content

Tera Hokar Bhi Na Hona, Besabab Bahut Chubhta Hei,
Yaad Ke Phoolon Pe Waqt, Jab Bhi Tanhaa Utarta Hei.

Gehere Paani Mei Jun Dum GhutTa Ho,
Kabhi Na Koi Itna Tanhaa Ho,
Masoom Hansi Aur Puraani Mohabbat,
Baad-E-Muddat Mile, Aur Na Juda Ho.

Mehfil Saji Hei Aur Dil Tanha Sa Basar Karta Hei,
Tere Bagair Lamha Dar Lamha Bas Safar Karta Hei.

Yun To Ishq Ke Sajde Saath Saath Hote Hei,
Magar Kuch Ibadatein Tanhaa Bhi Honi Hei.

Bohat Shor Suna Tha,
Do Yaaron Ki Mehfil Ka,
Dekha Jab Bhi To Koi,
Tanha Hee Baitha Tha.