Teri Chuppi Tute To Kuch

 

Teri Chuppi Tute To Kuch Meri Bhi Guzar Ho,

Baithe Hei Shab Bhar Kinare, Ab To Sehar Ho,

Waqt Samjhu Hei Rafta Rafta Nikal Lega,

Lat Lagi Hei Un Lamhon Ko, Kaise Sabar Ho.

Ye Umra Badi Ajeeb Hei

Ye Umra Badi Ajeeb Si Hei, Na Daudti Hei Na Rukti Hei,

Barbas Sarakti Raheti Hei…

 

Na Jawani Ki Khumari, Na Budhape Ki Lachaari,

Tamannaon Ko Taakte Chupaate,

Barbas…..

 

Thodi Jyada Si Samajh, Thodi Bachpan Si Lalak,

Kahin Sanjeeda, Kahin Manaate,

Barbas…..

 

Kayi Sapno Se Sansaar Basaya, Kuch Ko Kahin Baithaya,

Puri Ya Adhuri Mein Uljhaate,

Barbas Sarakti Raheti Hei.

 

Antar Ki Kashmakash

Antar Ki Kahin Kashmakash, Sambhalun Ya Sanbhal Lun,

Nazar Mein Nahin Ki Ankhon Ka Likhha Padh Lun,

Barasti Bhi Nahin, Badli, Sar Se Sarakti Bhi Nahin,

Sabar Bhi Nahin Ki Khamoshi Ko Hi Samajh Lun.