Skip to content 
Asaan Nahin Yun Chalna,
Dariya Ke Do Chhor Sa,
Kehene Ko Juda Sahi,
Mano To Saath Chalta Hun.

Har Pal Mei Bahut Sara Tu,
Thoda Sa Mein Basta Hun,
Tu Saath Nahin Phir Bhi,
Teri Parchaiyon Sa Dikhta Hun

Yun To Ishq Ke Sajde Saath Saath Hote Hei,
Magar Kuch Ibadatein Tanhaa Bhi Honi Hei.

Wo Shaam Jo Shab Si Dhal Gayi,
Kuch Saath Le Gayi,
Aks Dhundhta Hei Aaj Bhi,
Khushbu Bhini Bhini.