Skip to content 
Yun To Aksar Sambhal Kar Zaahir Hota Hun,
Rooh Na Chhuye, To Khamosh Hi Reheta Hun,
Jaane Kab Mere Saaye, Kisi Se Syaah Nikle.

Mukammal Hei Kayi Jahan Mujhmein, Zamane Mukammal Nahin, To Kya,
Zami Hei, Aasmaa Hei, Falak Bhi Nishaan Hei, Ek Tu Haansil Nahin, To Kya;
Meri Rooh Ki Ibadat Achchhi Hei Baharhaal,
Armano Mei Badastur Aawargi, To Kya;
Muskurata Hun Mazloomon Ko Laga Gale,
Azeemo Si Kuch Rehenumayi Nahi, To Kya;
Tabiyat Nahi Kisi Ke Dil Ka Dard Banu,
Waqt Ka Fitoor, Dhal Jaun Kahin, To Kya;
Muskura Lena, Aanson Se Kafan Nahin Bante,
Hayaat-E-Roshan Rakh, Khakhh Hei Abhi, To Kya.

Chalo Be-takkaluf Si Ek Mohabbat Ho Jaye,
Parda-nashin Rooh Bhi, Be-Parda Ho Paye.