Hei To Nazar Aane De

Hei To Nazar Aane De

Hei To Nazar Aane De,
Ye Dhoop Chhaon Ki Baatein,
Phir Kabhi.
Aaj Dhundhalke Mei,
Samay Ko Wahan Se Tu,
Yahan Se Mein Pakadta Hun,
Thehar jaate Hei,
Thodi Khushbu Mei, Thode Jaadu Mein,
Thoda Chhup Si Baton Mei,
Kuch Aankhon Mei, Kuch Chhehere Pe,
Kuch Hathon Mei, Kuch Pal Yunhin,
Ek Dusre Mei Jee Jaate Hei,
Hei To Nazar Aane De…

Kuch Darr Hei, Kuch Dard Hei

 

Kuch Darr Hei, Kuch Dard Hei,

Kahin Khamoshi, Kahin Harfh Hei,

Mousam Tera Bhi, Mujhsa Hi Sard Hei.

 

Ahsaas Bhi Hei, Pyaas Bhi Hei,

Bikhre, Simte, Jazbaat Bhi Hei,

Ishq Mei Ankahi Baat Bhi Hei.

 

Uljhano Ke Kuch Jawab Honge,

Kuch To Bhi, Nazar Andaaz Honge,

Hakikat Hei, Kuch Khwab Honge.