Skip to content 
Visaal-E-Aarzu Ka Bhi,
Sukoon Hei Bas Itna,
Mousam Saa Nahi Badalta,
Jab Bhi Rawan Hota Hei.

Kuch Der Ko Hi Sahi, Wo Aawaaz Lagaye,
To Kuch Aaraam Ho,
Aag Lagi Hei Basti Mei, Boondein Hi Baras Jaaye,
To Kuch Aaraam Ho,
Yun To Tere Har Mousam Se Waakef Hun,
Phir Bhi, E Zindagi,
Naye Chand Ki Baraat Mei, Mera Chand Bhi Aaye,
To Kuch Aaram Ho.

Kuch Darr Hei, Kuch Dard Hei,
Kahin Khamoshi, Kahin Harfh Hei,
Mousam Tera Bhi, Mujhsa Hi Sard Hei.
Ahsaas Bhi Hei, Pyaas Bhi Hei,
Bikhre, Simte, Jazbaat Bhi Hei,
Ishq Mei Ankahi Baat Bhi Hei.
Uljhano Ke Kuch Jawab Honge,
Kuch To Bhi, Nazar Andaaz Honge,
Hakikat Hei, Kuch Khwab Honge.

Jo Aaya Hei Khwabon Mei, Basar Hone Do,
Kahan Nikalti Hei Rahein, Safar Hone Do,
Ilm Hei, Haya Hei, Fikra Hei, Kaise Kahein,
Jaagti Ankhon Mei Thoda Aur Asar Hone Do,
Mosam-E-Zindagi Kya Yahi Hei Chokhat Baharon Ki,
Abhi Patjhad Gujarta Hei, Kuch To Sabar Hone Do,
Salikhe Se Swarnti Roj Thi, Nikhar Rahi Hei,
Nayi Nayi Hawaa Hei, Jara Pankh To Mayyasar Hone Do.

Har Sawaal Mujhse, To Jawabdari Kya Hogi,
Har Raah Teri, To Raah Hamari Kya Hogi,
Utarna Hei Ya Leheron Ko Hi Dekh Lein,
Dubenge Nahin To Ishq Ki Khumari Kya Hogi,
Yunhi Chupkar Bhigenge Bin Mousam,
Gar Chhink Aaye Tujhe To Bimari Kya Hogi.