Koi To Samjhaye, Ye Maazara

 

Koi To Samjhaye Ye Maazara Kya Hei,

Na Chalna Tha Un Raahon Par, To Ye Raasta Kya Hei,

Manzar To Sahi Hei, Pasemanzar Kuch Nahin,

Do Dil Hei, Khuloos Hei, Aur Aasra Kya Hei.

 

Kuch Ladkhadayi Manzil

Kuch Ladkhadaye, Kuch Chal Bhi Na

Kuch Ladkhadaye, Kuch Chal Bhi Na Sake,
Kuch Manzil Ko Dekh Hee Jee Gaye,
Kuch Roshani -E-Manzar Huye,
Na Raah, Na Manzil, Na Raahgir Galat The,
Bas Kuch Waqt To Kuch Halaat Ban Gaye,
Kuch Sanwar Gaye, To Kuch Bikhar Gaye.