Skip to content 
Kuch Pal Mei Kuch Pal
Kuch Aise Khil Jaate Hein,
Nahin Bichadta Phir Wo
Jise Kho Ke Milta Hun.

Kuch Bikhra Hei, Kuch Simat Jaayega,
Inhi Falsafon Mein Nikhar Aayega,
Sanson Ko Mayassar Hei Justaju Jab Tak,
Tu Usmein, Wo Tujhmein, Guzar Jaayega.

Kuch Hi Panno Ki Zindagi Hei,
Ab Rutha Na Karo Harfon Pe,
Manaane Mei Hi Kharch Denge,
To Jiyenge Kab…

Wo Shaam Jo Shab Si Dhal Gayi,
Kuch Saath Le Gayi,
Aks Dhundhta Hei Aaj Bhi,
Khushbu Bhini Bhini.