Skip to content 
Maayus Seher Uthati Hei,
Roz Thaki Huyi Chaadar Se,
Koi To Keh De Unhe,
Khwaab Mei Hi Sula Jao.

Aaj Subha Khwaab Bhi The,
Neend Bhi Suhaani Rahi,
Kal Chandani Roshan-Daan Se,
Jhaankh Kar Jo Gayi.

Teri Khushbu Mei Bheega,
Labrez Hun Aaj,
Kal Raat Khwaab
Teri Aagosh Ka Tha.

Kuch Darr Hei, Kuch Dard Hei,
Kahin Khamoshi, Kahin Harfh Hei,
Mousam Tera Bhi, Mujhsa Hi Sard Hei.
Ahsaas Bhi Hei, Pyaas Bhi Hei,
Bikhre, Simte, Jazbaat Bhi Hei,
Ishq Mei Ankahi Baat Bhi Hei.
Uljhano Ke Kuch Jawab Honge,
Kuch To Bhi, Nazar Andaaz Honge,
Hakikat Hei, Kuch Khwab Honge.

Barson Se Iss Raah Pe Khada Hun,
Kise Khabar Ke Mei Kahan Hun,
Do-Chaar Kadam Jab Raah Honge, To Sochenge,
Abhi To Shab Hei, Khwaab-E-Ruwan Hun.

Meri Berukhi Naraazgi He Tujhse,
Isse Koi Aur Naam Na De,
Tu Roshan He Aaj Bhi Mere Khwabon Khayalon Mein,
Bhooj Jaane Ka Yun Mujhe Ilzaam Na De.