Skip to content 
Hei To Nazar Aane De,
Ye Dhoop Chhaon Ki Baatein,
Phir Kabhi.
Aaj Dhundhalke Mei,
Samay Ko Wahan Se Tu,
Yahan Se Mein Pakadta Hun,
Thehar jaate Hei,
Thodi Khushbu Mei, Thode Jaadu Mein,
Thoda Chhup Si Baton Mei,
Kuch Aankhon Mei, Kuch Chhehere Pe,
Kuch Hathon Mei, Kuch Pal Yunhin,
Ek Dusre Mei Jee Jaate Hei,
Hei To Nazar Aane De…

Gehere Paani Mei Jun Dum GhutTa Ho,
Kabhi Na Koi Itna Tanhaa Ho,
Masoom Hansi Aur Puraani Mohabbat,
Baad-E-Muddat Mile, Aur Na Juda Ho.

Wafa To Badastoor Na Thi Kabhi,
Mann Ki Huyi To Begunaah Ho Gayi.

Baad-E-Muddat Duaaon Se Mile Ho,
Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana,
Abhi To Doraahe Pe Humraah Bane Ho,
Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana;
Ye Din Raat, Ye Dhoop Chhaon Ki Baat,
Kabhi Nikharte, Kabhi Bikharte Haalaat,
Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana;
Chhoti Baton Ki Ye Lambi Parchhayi,
Na Tere Haath Aani, Na Mere Haath Aayi,
Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana.

Khwabon Mei Mere Tujhse Ye Puchun,
Mujshko Tu Dhundhe, Kya, Jaise Mei Dhundhun,
Hothon Mei Dabi, Keh Bhi De Kabhi,
Barson Ki Bechainiyan Lein Aayein Kuch Sukun,
Guzarta Huwa Waqt, Waqt Kuch Guzar Gaya,
Khayalon Ki Khushbu, Khusbu Be-panah,
Ek Tera Hi Khumar, Baaki Sab Gubaar,
Ijazat Ho Teri, Kuch Lamhein Saath Lun.