![]()
Kuch Der Ko Hi Sahi
![]()
Kuch Der Ko Hi Sahi, Wo Aawaaz Lagaye,
To Kuch Aaraam Ho,
Aag Lagi Hei Basti Mei, Boondein Hi Baras Jaaye,
To Kuch Aaraam Ho,
Yun To Tere Har Mousam Se Waakef Hun,
Phir Bhi, E Zindagi,
Naye Chand Ki Baraat Mei, Mera Chand Bhi Aaye,
To Kuch Aaram Ho.
Tere Saath Ke Sab Guzar Gaye
![]()
Tere Saath Ke Sab Guzar Gaye, Soona Sa Kaarwan Hei,
Teri Meethi Hansi Ke Peeche, Kadwe Ghoonth Baarahaa Hei,
Taron Mei Timtimati Hei Kahan, Chand Ki Roshani,
Ankhon Ne Tujhe Bharmaya Hei, To Kiska Gunaah Hei.
So Jao
![]()
So Jao Ki Chandani Bhi,
Khumari Mein Nikhar Rahi He,
Sapno Ke Aagosh Mein Jaane Ko,
Oos Bhi Bikhar Rahi He.