Skip to content 
Bahut Bezaar Hei Dil,
Waqt Se Minnatein Kar Lein,
Uska Chehera De Dikha,
Lamhon Ki Jannatein Kar Lein.

Har Pal Mei Bahut Sara Tu,
Thoda Sa Mein Basta Hun,
Tu Saath Nahin Phir Bhi,
Teri Parchaiyon Sa Dikhta Hun

Tera Hokar Bhi Na Hona, Besabab Bahut Chubhta Hei,
Yaad Ke Phoolon Pe Waqt, Jab Bhi Tanhaa Utarta Hei.

Bahut Tarsi Hogi Koi Chahat Barson Ki,
Shab-E-Alam Kya Guzari, Shabnam Ho Gayi.