Tu Kisi Aur Ka

Tu Kisi Aur Ka Saaya Hei,

Magar Tera Ujaala Koi Aur Hei,

Roshan Hei Tujhse Ghar Kisika,

Andheron Mein Tere Koi Aur Hei.

Ye Umra Badi Ajeeb Hei

Ye Umra Badi Ajeeb Si Hei, Na Daudti Hei Na Rukti Hei,

Barbas Sarakti Raheti Hei…

 

Na Jawani Ki Khumari, Na Budhape Ki Lachaari,

Tamannaon Ko Taakte Chupaate,

Barbas…..

 

Thodi Jyada Si Samajh, Thodi Bachpan Si Lalak,

Kahin Sanjeeda, Kahin Manaate,

Barbas…..

 

Kayi Sapno Se Sansaar Basaya, Kuch Ko Kahin Baithaya,

Puri Ya Adhuri Mein Uljhaate,

Barbas Sarakti Raheti Hei.

 

Antar Ki Kashmakash

Antar Ki Kahin Kashmakash, Sambhalun Ya Sanbhal Lun,

Nazar Mein Nahin Ki Ankhon Ka Likhha Padh Lun,

Barasti Bhi Nahin, Badli, Sar Se Sarakti Bhi Nahin,

Sabar Bhi Nahin Ki Khamoshi Ko Hi Samajh Lun.

Ulfat Se Nahin

Ulfat Se Nahin,?Zanjeer Se Darr Lagta He,

Kuch Apne Hisse Ki Uljhi,?Tadbeer Se Darr Lagta He,

Toot Kar Jo Thama Jaati He,?Dard Ki Ladiyan,

Hathon Ki Un Tedi Medi,?Lakeeron Se Darr Lagta He.