Kuch Darr Hei, Kuch Dard Hei

 

Kuch Darr Hei, Kuch Dard Hei,

Kahin Khamoshi, Kahin Harfh Hei,

Mousam Tera Bhi, Mujhsa Hi Sard Hei.

 

Ahsaas Bhi Hei, Pyaas Bhi Hei,

Bikhre, Simte, Jazbaat Bhi Hei,

Ishq Mei Ankahi Baat Bhi Hei.

 

Uljhano Ke Kuch Jawab Honge,

Kuch To Bhi, Nazar Andaaz Honge,

Hakikat Hei, Kuch Khwab Honge.

 

Teri Chuppi Tute To Kuch

 

Teri Chuppi Tute To Kuch Meri Bhi Guzar Ho,

Baithe Hei Shab Bhar Kinare, Ab To Sehar Ho,

Waqt Samjhu Hei Rafta Rafta Nikal Lega,

Lat Lagi Hei Un Lamhon Ko, Kaise Sabar Ho.

Baad-E-Muddat Duaaon Se Mile

 

 Baad-E-Muddat Duaaon Se Mile Ho,

Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana,

Abhi To Doraahe Pe Humraah Bane Ho,

Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana;

Ye Din Raat, Ye Dhoop Chhaon Ki Baat,

Kabhi Nikharte, Kabhi Bikharte Haalaat,

Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana;

Chhoti Baton Ki Ye Lambi Parchhayi,

Na Tere Haath Aani, Na Mere Haath Aayi,

Humsafar Yunhi Nahin Kho Jaana.

 

Kuch Bikhra Hei, Kuch

 

Kuch Bikhra Hei, Kuch Simat Jaayega,

Inhi Falsafon Mein Nikhar Aayega,

Sanson Ko Mayassar Hei Justaju Jab Tak,

Tu Usmein, Wo Tujhmein, Guzar Jaayega.

Kahan Hei Wo Badali

 

Kahan Hei Wo Badali, Jo Barasne Ko Taiyaar Thi,

Kahan Hei Wo Boondein, Jo Subha Ki Fuhaar Thi,

Na Sukhe Rahe, Na Bheege, Naahak Baahar Nikle.

Mukammal Hei Kayi Jahan Mujhmein

 

Mukammal Hei Kayi Jahan Mujhmein, Zamane Mukammal Nahin, To Kya,

Zami Hei, Aasmaa Hei, Falak Bhi Nishaan Hei, Ek Tu Haansil Nahin, To Kya;

Meri Rooh Ki Ibadat Achchhi Hei Baharhaal,

Armano Mei Badastur Aawargi, To Kya;

Muskurata Hun Mazloomon Ko Laga Gale,

Azeemo Si Kuch Rehenumayi Nahi, To Kya;

Tabiyat Nahi Kisi Ke Dil Ka Dard Banu,

Waqt Ka Fitoor, Dhal Jaun Kahin, To Kya;

Muskura Lena, Aanson Se Kafan Nahin Bante,

Hayaat-E-Roshan Rakh, Khakhh Hei Abhi, To Kya.

Jo Aaya Hei Khwabon Mei

 

Jo Aaya Hei Khwabon Mei, Basar Hone Do,

Kahan Nikalti Hei Rahein, Safar Hone Do,

Ilm Hei, Haya Hei, Fikra Hei, Kaise Kahein,

Jaagti Ankhon Mei Thoda Aur Asar Hone Do,

Mosam-E-Zindagi Kya Yahi Hei Chokhat Baharon Ki,

Abhi Patjhad Gujarta Hei, Kuch To Sabar Hone Do,

Salikhe Se Swarnti Roj Thi, Nikhar Rahi Hei,

Nayi Nayi Hawaa Hei, Jara Pankh To Mayyasar Hone Do.

Khwabon Mein Mere Tujhse Ye Puchun

 

Khwabon Mei Mere Tujhse Ye Puchun,

Mujshko Tu Dhundhe, Kya, Jaise Mei Dhundhun,

Hothon Mei Dabi, Keh Bhi De Kabhi,

Barson Ki Bechainiyan Lein Aayein Kuch Sukun,

Guzarta Huwa Waqt, Waqt Kuch Guzar Gaya,

Khayalon Ki Khushbu, Khusbu Be-panah,

Ek Tera Hi Khumar, Baaki Sab Gubaar,

Ijazat Ho Teri, Kuch Lamhein Saath Lun.

Har Sawaal Mujhse

Har Sawaal Mujhse, To Jawabdari Kya Hogi,

Har Raah Teri, To Raah Hamari Kya Hogi,

Utarna Hei Ya Leheron Ko Hi Dekh Lein,

Dubenge Nahin To Ishq Ki Khumari Kya Hogi,

Yunhi Chupkar Bhigenge Bin Mousam,

Gar Chhink Aaye Tujhe To Bimari Kya Hogi.